|
|
 |
|
|
| Aaqa Ka Milad Aaya - Nishtar Park Alhaaj Muhammad Owais Qadri- (Part 2) |
 |
MashAllah Another beautiful naat by Sana
Khuwan e Mustafa [SallAllahu Alayhi Wa
Sallam]...Bulbul-e-Madinah.. Alhaaj Muhammad
Owais Raza Qadri...SubhanAllah! MashAllah!
Recited in Nishtar Park 2006 ..Part 2!
AAQA KA MILAD AAYA
Kalaam = Obaid Raza (Owais Raza Qadri)
Sana Khuwaan = Owais Raza Qadri
Ya RasoolAllah Ya HabibAllah
Salla Alaika Ya RasoolAllah
Wassallam Alaika Ya HabibAllah
Ahlaon Wa Sahlan Marhaba Ya RasoolAllah
Charoon Taraf Noor Chahya Aaqa Ka Milad Aaya
Khushiyon Ka Pegham Laya Aaqa Ka Milad Aaya
Shams-O-Qamar Aur Taaray Kyun Na Ho Khush Aaj
Saaray
Unse Hee Tou Noor Paaya Aaqa Ka Milad Aaya
Khushiyan Manatay Hain Wohi Dhoomein Machatay
Hain Wohi
Jinn Per Hua Unka Saaya Aaqa Ka Milad Aaya
Hai Shaad Har Ek Musalmaan Karta Hai Ghar
Ghar Charaghaan
Galiyun Ko Bhi Jagmagaya Aaqa Ka Milad Aaya
Mukhtar-e-Kul Maanay Jou Unhe Noori Bashar
Jaanay Jou Unhe
Na'ara Ussi Ne Lagaya Aaqa Ka Milad Aaya
Jou Aaj Mehfil Mein Aaye Mun Ki Muradein Woh
Paaye
Sab Par Karam Ho Khudaya Aaqa Ka Milad Aaya
Ghous Ul Wara Aur Data Ne Mere Raza Aur
Khuwaja Ne
Sab Ne Hee Din Ye Manaya Aaqa Ka Milad Aaya
Na'at-e-Nabi Tum Sunao Ishq-e-Nabi Ko Barhao
Hum Ko Raza Ne Sikhaya Aaqa Ka Milad Aaya
Jiss Ko Shajar Jaantay Hain Kehna Hajar
Maantay Hain
Aisa Nabi Hum Ne Paaya Aaqa Ka Milad Aaya
Dil Jagmaganay Lagay Hain Sab Muskaranay
Lagay Hain
Ik Kaif Sa Aaj Chahya Aaqa Ka Milad Aaya
Kar Ae Ubaid Unki Midhat Tujh Per Khuda Ki Ho
Rehmat
Tu Ne Muqqadar Ye Paaya Aaqa Ka Milad Aaya Tags : Naat Islamic Alhaaj Owais Nasheed Praise of Prophet(SAW) |
|
Affichage : 1778
Durée : 572 s |
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
 |
| |
|